Self pity

 Aaj mere ek dost mein mazaak mein kaha that he pities himself. Tha to mazaak lekin topic to achcha hai likhne mein kya jaata hai.😜

Maine usko bhi kaha tha self pity is a disease. Ek deemak ki tarah hota hai. Jaise deemak dheere dheere lakdi ko under ( from inside) se khokla kr deta hai beemari mein jaise insaan kamzor pd jaata hai self pity bhi ek aisi hi condition hai jahan insaan khud pr taras khane lgta hai. 

Hum generally taras us pr krte hai jiski haalat bhut kharab ho aur hum uske baare mein kuch nhi kr skte. Khud pr taras krna matlab apni haalaton se darr jana haar maan jaana. aur ye sirf ek looser hi kr sakte hai. Kisiko tum looser keh doge to usko kitna gussa aayega lekin yhan to insaan khudko looser maan kr sab kuch chhod deta hai. Jo ye log suicide krte hai na apni haalaton se pareshan hokar ye khud pr taras krke thak jaate hain ki apni zindagi hi khatam kr lete hai. 

Self pity is dangerous. 

Agar aap khud pr taras khaane ki jagah apni conditions se fight krke ye dikhayo ki humari life mein kitne bhi bade toofan aa jayein hum jb tk lad sakte hai tb tk ladenge haar nhi manege to aap kuch bhi kr skte hai. Confidence, basically self confidence, hona bhut zaroori hai. 

    Aur ye sb yhan se padne se ek dam ho nhi jaati bhut mehnat krni padti hai will power chaiye is cheez ke liye. ek itni strong will power ki kuch bhi ho jaaye ye na tute.

Phir aap sb un logon ko jo aapko loosers samjhte the unko bol sakte ho " humein kamzor samajhne walon zara dekho ki aaj hum kaha hain aur humare saamne tum kahan ho ".

Comments

Popular Posts