Baarish
Baarish.. kehne ko me baarish ko apni bachpan ki dost kehti hu... chahe hr vakt gusse me rhu, bss ye baarish hi h jo mujhe mna leti h.. jb baarish aati h naato aisa lgta h jese kisi chhote se rote hue bache ko uski maa mil jaye.. jese barso pehle khoyi hui tasveer mil jaye.. me bhi us tasveer ki tarah hi hu... kaha hu pta nhi bss jaha kismat leke jaa rhi h me bss vha chalti ja rhi hu.. lekin ye baarish h jiski ek ek bund me mai khud se mil jati hu.. mujhe mera aks un bundo me mil jata h.. jese mor pankh baarish me hi kholta h.. vese hi khud se milna sirf baarish tk hi hota h.. uske baad phir se vhi kismat ke bharose safar shuru ho jata h.. bss vhi chand lamhe hote h haat me jb me me hoti hu..
kaashh!!! kismat se gaddari kr skte hote..lekin kambhakt ye kismat vo gaddari bhi pehle se jaanti h...
Comments
Post a Comment