Zindagi..Karma..Kismat..

 


Zindagi... iska matlab kya hai ? kisi ameer se pucho to uska paisa aur aaram.. kisi apne se pucho to hum aur parivar.. kisi gareeb se pucho to 2 vakt ki roti.. Zindagi ka matlab hr kisi ke liye alag alag hota hai lekin hum kese jaane ki humari zindagi kya hai aur uska matlab kya hai ? Zindagi asal me usko kehte hai jo aap jeete hai.. agar aap paise aur guroor me jite hai to vo aapki zindagi hai.. agar aap apno me apno ke bich jite hai to vo aapki zindagi hai.. agar aap majburi aur laachari me jite hai to vo aapki zindagi hai.. Zindagi kb kaha kese kya mod legi ye na to koi janta hai na to kisi ne humari kismat me likha hai.. humari kismat me sirf 2 cheezein likhi hai.. aap is duniya me kb aaye aur kb jaoge..sirf itna hi humari kismat hai.. baaki bich ka safar jise hum zindagi kehte hai, iski zimmedari hum pr hoti hai.. hum jesa karm krenge vo karm hume usi tarah ke raste pr leke jayenge.. ye sb karmo pr hai.. 
aapka bhavishya hr pal hr second badalta hai kyuki vo aapke karmo pr hai..

Comments

Popular Posts