Aadat
Kabhi raaste mei jo galati se takra jaye
to anjaan samajh kr nazarandaaz kr dena
Jo kbhi humara zikr ho jaye kahi
to humara naam tk unsuna kr dena
Bss is hi ki aadat hai humein
to bss yhi krna
Jo kbhi aapse izhaar-e-ishq kr de
to phir se gair bn kr Dil Tod Dena
Hr umeed chur chur kr dena
Hr hasi raakh kr dena
Hr sapna tukda kr dena
Iltaja bss itni si hai ki
Ab isse zyada dard Mt Dena
Bss is hi ki aadat hai humein
To bss yhi krna...
Comments
Post a Comment